world first blog on Quran Shareef Translation in Roman Urdu.
Friday, 13 September 2013
Surat-Tabbatt 111
(Sura-Tabbatt Makka mai Nazil hui, is mai Panch (05) Aayatain hain)
111.01 Abu Lahab ky dono hath toot gaye aur who (khud) halak ho gaya.
111.02 Na to uska maal usky kaam aya aur na uski kamai.
111.03 Who un qareeb bharkney waali aag mein jaey ga.
111.04 Aur uski biwi bhi (jaeygi) jo lakriyan dhonay waali hai.
111.05 uski garden mein post khajoor ki batti hoi rassi hogi.
Surat-Ikhlaas 112
Surat-Ikhlaas 112
(Sura-Ikhlaas Makka mai Nazil hui, is mai chaar (04) Aayatain hain)
112.01 Aap kehydijiye kay Woh ALLAH TALAH aik(hi)hai.
112.02 Allah bey niaz hai.
112.03 Na uss say koi paida hoa na who kisi say paida hoa.
112.04 Aur na koi uska humser hai.

Surat-Falaq 113
Surat-Falaq 113
(Sura-Falak Makka mai Nazil hui, is mai panch (05) Aayatain hain)
113.01 Aap kehdijiye! Kay mein subha ky Rab ki panah mein aata hun
113.02 Her uss cheez ky shar say jo uss nay paida ki hai.
113.03 Aur andheri raat ki tareki kay shar say jab uska andhera phel jaye.
113.04 Aur girah (laga ker inn) mein phonknay walon kay sher say (bhi).
113.05 Aur hasad kerney waly ki burai say bhi jab wo hasad karey.
Surat-Naas 114 roman translation of quran
Surat-Naas 114
(Sura-Naas Makka mai Nazil hui, is mai chhay (06) Aayatain hain)
114.01 Aap kehdijiey!kay mein logo kay parwardigar ki panah mein ata hun.
114.02 Logon ky malik ki(aur)
114.03 Logon ky maabood ki(Panah mein)
114.04 Waswasa dalney waly pechy hut janey waly kay shar say.
114.05 Jo logon kay seenon mein waswasa daalta hai.
114.06 (Khua)woh jin mein say ho ya insaan mein say.

Subscribe to:
Posts (Atom)